Dec 07 2007
Teri yaad…….
Gham ko chupaanay ki aadat si hai mujhe…!
Khud ko sataane ki aadat si hai mujhe…!
Jaan le na koi haal-e-dil is dar se…!
Bewajha muskurane ki aadat si hai mujhe…!
Youn to tere dar se namuraad lauta hoon…!
Qismat ko aazmaane ki aadat si hai mujhe…!
Mein jantaa hoon ke too laut kar na ayegaa…!
Dil ko behlaane ki aadat si hai mujhe…!
Chaand gham na kar mein bhi tera saathi hoon…!
Ke ratjagae manane ki aadat si hai mujhe…!
kabhi to woh bhi sochain ge acha nahi hua…!
Khush fehmian jagane ki aadat si hai mujhe
Soch kar baitha tha ki fir dubara na aaunga,
Is dil ko dharkano ki kasam di thi ki fir na bulaunga,
Par aaj kuch yun tumhari yaado ka nasha chhaya,
Saari kasmo ko tood dil fir tumhare paas chala aaya,
Kahan the tum na jaane kab se hum khoj rahe the,
Tu kabhi na kabhi to milegi…na jaane kab se yehi soch rahe the,
Par aaja achanak tum jab mere saamne aaye,
Na jaane kaise dil mein kaahan se itne armaan umad aaye…..
Chalo aa hi gaye ho to ab kabhi door na jana,
Jaao to apne saath meri jaa….ye rooh bhi le jana….!!!! !